Top 100+ Beautiful Shayari in English For Love, Share With Your Cute Lover

Shayari in English for Love-Heart touching love shayari in english,short love shayari in english,attitude love shayari in english,love shayari in english for boyfriend,love shayari in english for girlfriend,Love shayari in english pdf,short love shayari in english for boyfriend,2 line love shayari in english for husband.

Latest New Collection  Beautiful Shayari in English For Love

Dil main aur to kya rakha hai, Tera dard chupaa rakha hai, Itne dukhon ki tez hawaa main, Dil ka deep jalaa rakha hai, Dhoop se chehron ne duniya main, Kya andher machaa rakha hai, Is nagrii ke kuch logon ne, Dukh ka naam davaa rakha hai, Vaaada-e-yaaar ki baat na cherro, Yeh dhoka bhi khaa rakha hai, Bhool bhi jao beeti baaten, In baaton main kya rakha hai, Chup chup kyun rehte ho ‘nasir’, Kya yeh rog laga rakha hai..

Koshish karo k koi aap se na ruthe. Zindagi me apno ka Kabhi sath na chhute. Rishta koi bhi ho Use Aise nibhao Ki Uss Rishte ki Dor Zindgi bhar na toote

Sacche “Pyaar” ki Hasrat kise nahi hoti ?.. Magar Sab ki aisi “Qismat” nahi hoti.. Koi ek Hota hai Jo Sama jaata hai “DiL” mein Har Kisi se toh ye “MOHABBAT” nahi hoti …!

Mana ki kismat pe mera koi zor nahi…. Par ye sach hai ki mohabbat meri kamjor nahi… Us ke dil mein, uski yaadon mein koi aur hai lekin… Meri har saans mein uske siwaa koi aur nahi …!! —

Beautiful Shayari in English For Love

Insaan do cheezon se hamesha haarta hai.. Waqt aur pyaar dono zindagi mein khaas hote hai.. Waqt kisi ka nahi hota.. Aur pyaar har kisi se nahi hota.

Uske Sath Rehte Rehte Uski Chahat Si Ho Gayi Hai, Usse Baat Karte Karte Mujhe Uski Aadat Si Ho Gayi Hai… Ek Pal Na Mile Toh Bechani Si Lagti Hai, Dosti Nibhate Nibhate Shayad Us se Mohabbat Si Ho Gayi Hai.

Kaisa waqt hai k unhay fursat hi nahi humein yaad karney ki… .. … .. Kabhi wO shakhs Or main ek he saans se jiya kartey thae…!!!

Jazbaat-e-Ishq Sab Ko Bataaya Nahi Jata, Lag Jata Hai Dil Lagaya Nahi Jata.. Jannat Ki Baat Ho Ya Ho Gulistaan Ke Rang, Dil Mein Lagi Aag Ko Bujhaaya Nahi Jata …!

Muskan Ban Jata Hai Koi, Dil Ki Dhadkan Ban Jata Hai Koi, Kaise Jiye Ek Pal Bhi Un Ke Bin, Jab Zindgi Jeene Ki Wajah Ban Jata Hai Koi,

Tujhey odhu ya tera libaas ho jau… Teri ragon mein dhal kar ek ehsas ho jau… Pyar jo mile muje tere Dil se… Tu samandar bane or main pyaas ban jau…. Tere wajood se he hai mere chehrepe ye khushi ki jhalak… Tera chehra na dekhu to udaas ho jau…. Bas itni si khwayish hai teri zindgi mein shamil houn…. Phir bhaly Kissa banu ya afsana ho jaun…. Tere hoth tere hath mere ek ek naqsh ko chu lee…. Tu mujhe bhool na paye tera vo ehsaas ho jaun… “

Khuwab Aankhon se gaye neend raton se gayi, Woh gaya to aise laga zindagi hathon se gayi.. Sookhe thy phool tere jane ke baad, Ab to khushbu bhi kitaabon se gayi.. Tere aane se barhti thi jo raftaar dharkan ki, Ab to rawaani bhi meri saanson se gayi.. Kis daur main mohabbat ko ilzaam dete ho, Jis daur main hayaa bhi hijaabon se gayi….

Zindagi Apni Has Kar Basar Karte Hai!! Nafraton Ke Raaston par Naa Safar Karte Hai… Woh Log Aur Honge Jinhe Apne Humsaaya Par Bhi Yakeen Nahi !!! Tu Saath Hai mere!! Hum To Bas Isi baat Pe Khud Par Fakar Karte Hai…. Toot Jaate Hai Woh Ghar Jinki Deewarein Mazboot Naa Ho!! Zindagi Ke Har Kadam Par Khud Se Zyaada Yakeen Hum Tujh Par karte Hai… Mohabbat Gehri Tab Hoti Hai Jab Hum kisi Ke Gham ko Apnana Seekh le!! Sirf Teri Muskaan Ka Khaayal Nahi Hoon Main !!! Teri Aankh Se Gire Hue Ashko Ki Bhi Hum Kadar Karte Hai…. Tujhse Door Rehte Hai par Tujhse Juda Kabhi Ho Nahi Sakte!! Har Pehar, Har Lamha Hum teri Fikar Karte Hai…. Tere Har Dard-o-Gham Ka Ilaaj hai Paas Mere!!! Suna Hai, Dawaon Se Zyaada Duaein Asar Karte Hai…. “Nishu” Kehta Hai ke Zindagi Mein sabse Mushkil Hai, Kisi Ka Kisi Par “Aitbaar” Karna………!!! Jo Naa Samaj Sake Is Jazbaat Ko, Woh Naa Jaane, Apne Mohabbat Ka Kya Hashar Karte Hai……..!!!

Sab Honge Yahan Magar Hum Na Honge, Humare Na Hone Se Log Kam Na Honge.. Aise Toh Bahut Milenge Pyar Karne Wale, Hum Jaise Bhi Milenge, Magar Woh Hum Na Honge …!

Ye Pyara Sa Jo Rishta Hai, Kuch Mera Hai, Kuch Tera Hai, Kahin Likha Nahi, Kahin Padha Nahi, Kahin Dekha Nahi, Kahin Suna Nahi, Phir Bhi Jana Pehchana Hai, Kuch Mera Hai, Kuch Tera Hai… :

Jisse mohabbat ho jae Uske bare me Zyada sochna nahi chaiye because Soch SHAQ ko janm deti hai Aur SHAQ MOHABBAT Ko khatm kar deti hai…

Dhalti Sham ka Khula Eshaas hai, Mere Dil Mein Teri Jagah Kuch Khass hai, Tu Nahi H ye Malum hai Mujhe, Par Dil Yahi Kehta h tu Aas-Pass hai.

Tumhari Yaadon Se Hai Zindagi Mein Rounaq, Is Liye Apni Nahi Tumhari Zindagi Ki Dua Karte Hain.

Mohabbat Ko Kabhi Majburi Ka Naam Mat Dena,,,!! Haqiqat ko Kabhi Haadso Ka Naam Mat Dena,..!! Agar DIL Me Ho Kisi Ke Liye “PYAR”,,,!! To Use Kabhi “DOSTI” ka Naam Mat Dena…!!!

Tum Mujhy Apne DiL Mai Rakh Lo Ya Rakh Lo Apni NigaHo’n Main,, Tujh Bin Jee Na Payen gey Tanha, Dam Bhi Nikle To Teri Baho’n Main

Shaan Se Pyar Ka Izhar Karenge, Teri Mohabbat Pe Jaan Bhi Nisar Karenge, Dekh K Jalegi Duniya Saari, Is Kadar Tujhpe Aitbaar Karenge, Denge Salaami Sab Humko, Jab Pyar Ko Hum Bayaan Karenge, Daulat Aur Shaurat Ka Kya Hai Kaam, Teri Khushi Mein Khudko Nichaawar Karenge, Har Ghadi Ho Bus Tera Deedar, Waqt Se Hum Yahi Iltijaa Karenge, Saaye Ki Tarah Tujhse Liptey Rahenge, Duniya Ki Buri Nazar Se Tujhe Bachaya Karenge…..

Jab Teri Rehmat Mujhe Nazar Aati Hai Mere Rabb Ji, Humari Aakhein Bhar Aati Hain Tum De Rahe Ho Humko Iss Kadar Ki Haath “Dua” Mein Uthne Se Pehle Hi Jholi Bhar Jaati Hai !!!

Tumhein BARISH Pasand Hai Mujhe Barish Mein …TUM Tumhein Hansna Pasand Hai Mujhe Hanstey Huye …TUM Tumhein Hum Se Baat Karna Pasand Hai Mujhe Boltey Huye ….TUM Tumhein Sab Kuchh Pasand Hai ..Or MUJHE Bas …Tum.. Sirf …Tum

Zindagi Me Bar~Bar Sahara Nahi Milta~!! Bar~Bar Koi Pyar Se Pyara Nahi Milta~!! Hai Jo Paas Use Sambhal Ke Rakhna~!! Khoya Hua “pyaar” Phir Kabhi Dobara Nahi Milta

Woh wkt wo lmhe kuch ajeeb honge Duniyaa me hum khushnaseeb honge Dur se jab itna yaad krte hain apko Kya hoga jb aap hmare kareeb honge

Us Ki Aankhoon Main Nazar Aata Hai Saara Jahan Mujh Ko Afsoos K Un Aankhoon Main Kabhi Khud Ko Nahi Daikha…!!!

Us Ki Aankhoon Main Nazar Aata Hai Saara Jahan Mujh Ko Afsoos K Un Aankhoon Main Kabhi Khud Ko Nahi Daikha…!!!

Shama kehti hai muje banaya kisne, jis jis ke hath lagi muje jalaya usne, wo shama kya jise koi jalane wala na ho, wo insan hi kya jise koi chahne wala na ho…

Shama kehti hai muje banaya kisne, jis jis ke hath lagi muje jalaya usne, wo shama kya jise koi jalane wala na ho, wo insan hi kya jise koi chahne wala na ho…

Chand ki judai me Aasma bhi tadap gaya. Uski ek Jhalak pane ko har Sitara taras gaya Badal ke Dard ko kya kahoo … Chand ki yaad me Woh haste-haste baras gaya!!!

Meri Mulakat Ko Chahe Musibat Kehna… Apni Nazar Ko Mere Liye Nafrat Kehna … Par Akele Me Jab Aansu Bhari Aankhe Meri Yaad Dilaye… To Use Meri Mohabbat Kehna♡

DiL Me Chhupi Yadon Se Sawaru Tuje~!! Tu Dikhe To Apni Ankho Me Utaru Tuje~!! Tere Naam Ko Mere Labo Par Aise Sajaye Rakhu~!! So Bhi Jau To Khwabo Me Pukaru Tujhe~!

Sapno ki duniya mein khote chale gaye , Hosh mein the phir bhi madhosh hote chale gaye… Jaane kya baat thi uss ajnabi chehre mein , Na chaahte hue bhi ussi ke hote chale gaye ….!!

.Uski saadgi ki koi intehaa nhi hai… Yahi to mere pyar ki vajah rahi h… Mana k usme khass khuch b nhi… Pr jo h usmein wo kisi aur mein b to nhi h..

Wo Saath Tha To Mano Jannat Thi Zindagi, Ab To Har Saans Zinda Rehne Ki Waja Puchti Hai…!!

Jee karta hai soorat teri nihaarti rahun.. Jee karta hai palkon mein teri shaam bita dun.. Jee karta hai yaadon mein teri khoyi rahun.. Jee karta hai teri zindagi se kuchh pal chura lun.. Jee karta hai teri neendon mein kuchh khwaab saja dun.. Ab maut bhi aa jaaye toh koi ghum nahin.. Jee karta hai baahon mein teri dum tod dun ….!

Khushboo ki tarha aap k paas bikhar jayen-ge Sakoon bankar dil mein utar jayen-ge Mehsoos karney ki koshish toh kijiye, Door reh kar b paas nazar Ayen-ge

Mohabbat kar ya nafrat Tu mera hai” Apna samajh ya paraya ”Tu mera hai” Tu mud jaye phir b main wanhi rahon… ”Tu mera hai”. Pyar hai ya ibadat maloom nahi mujhe ”Tu mera hai” Bhulana mushkil hai tujhe’ ‘Tu mera hai”Bus”Mera hai’….

Aye dil mat kar itni mohabbatkisi se, Ishq me mila dard tu seh nahi payega… Ek din toot kar bikhar jayega apno k hatho se, Kisne toda ye bhi kisi se keh napayega…!!

Likhi hai ye ghazal sirf tere liye.. Deewane bane bhi toh sirf tere liye… Kisi ko nahin dekhengi ab ye aankhen.. Nazren tarasengi bhi toh sirf tere liye… Har saans mein yaad karenge tujhe.. Ye saans niklegi bhi toh sirf tere liye… Har pyaar se pyaare lagte ho tum mujhe.. Maine pyaar seekha bhi toh sirf tere liye….!!

Khamosh Hoon Mai Lekin Inkaar To Nahi Hai~!! .•* ★ Meri Nakaamyabi Hai Koi Haar To Nahi Hai~!! .•* ★ Hum Tumhe Paa Na Sake, To Kya Huya~!! .•* ★ Lekin Sirf Tumhe Paa Lena Hi Pyaar To Nahi Hai~!!

Maein Saans Leta Hoon..Teri Khushboo Aati Hai Ek Mehka Mehka Sa..Paigaam Laati Hai Meri Dil Ki Dhadkan Bhi..Tere Geet Gaati Hai Pal Pal Dil Ke Paas Tum Rehti Ho 🙂

Mera har pal aaj khoobsurat hain, Dil mein jo sirf teri hi soorat hain, Kuch bhi kahe ye duniya gum nahi Duniya se jyada hume teri jarurat h

Meri Khamoshi Meri Aadat Hai, In Dooriyon Mein Bhi Meri Chahat Hai, Meri Zindagi Agar Khubsurat Hai, Toh Uski Wajah Aapki Muskurahat Hai …!

Meri duniya mein aaya ek musaafir aise, Koi pehle ki jaan pehchaan ho jaise.. Mile hum unse aur woh humse kuchh is tarha se, Koi barson se bichhde hue hon jaise.. Dil mein pyar phir ishq utara kuchh aise, Aur koi zindagi mein gunjaaish na ho jaise.. Bata do aye Musaafir jana kahan hain waise, Akele ye safar tayy karoge tum kaise.. Mil gaye ho toh ab rehna kuchh is tarha se, Ki saaye bhi ek se ho jaayen jaise.. Do manzilein ban jayein ab ek aise, Khuda ne koi Dua qabool kar di ho jaise …!!

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajjo Na Di Tujhe Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi “ Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi mili

Aap khud nahi janti aap kitni pyari ho, Jaan ho hamari par jaan se pyaari ho, Duriyon ke hone se koi fark nahi padta, Aap kal bhi hamari thi aaj bhi hamari ho…!!

Sirf Najdikiyo Se Mohabbat Hua Nahi Karti, Fasle Jo Dilon Me Ho To Fir Chahat Hua Nhi Karti Agar Naraz Ho Khafa Ho To Shikayat Karo Hamse Khamosh Rahne Se Dilo Ki Duriya Mita Nahi Karti…!!

Zindagi Toh Wahi Hai, Par Hum Kuch Toh Bhool Gaye, Raate Toh Wahi Hai Par Hum Sona Bhul Gaye, Dil Toh Paas Hain, Par Dhadkan Kahi Bhul Gaye, Zindgi Toh Wahi Hai, Par Tere Bina Hum Jeena Bhool Gaye..!!

Pyaar Main Ne Parindo Se Pyaar Kya To,, Woh Urh Gaya Main Ne Sooraj Se Pyaar Kya To,,, Woh Gharoob Ho Gaya Main Ne Chand Se Pyaar Kya To, Woh Badlon Main Chup Gaya Main Ne Pani Se Pyaar Kya To, Woh Beh Gaya Main Ne Baraf Se Pyaar Kya To, Woh Pighal Gaya Main Ne Barish Se Pyaar Kya To, Woh Baras K Thum Gaya Main Ne Aag Se Pyaar Kya To, Woh Bujh Gai Main Ne Phoolon Se Pyaar Kya To, Woh Murjha Gaya Main Ne Kanto Se Pyaar Kya To, Wo Toot Gaya Main Ne Janwaron Se Pyaar Kya To, Woh Meri Zaban Na Samjh Sakay Or Jab..Main Ne Insaan’on Se Pyaar Kya To, Woh Be-Wafa Niklay

Mari zindagi ka karar bhee tu Mari her khushi ka izhar bhee tu Mara bey-tehasha piyar bhee tu Mari khuwaishoon ka dedar bhee tu Mari ankhoon ka hai noor bhe tu Mari zindagi ka saroor bhee tu Maray ghum mein hai dhaal bhee tu Maray her per waqt zehan-o-guman mein tu Mari zindagi ka aarough bhee tu Mari zindagi ka zawal bhee tu Mari ashiqi ki sachi misal bhee tu Mari zindagi ka husn-o-jamal bhee tu Maray dil ka her aik khayal bhee tu Mara wajood ka ____ hai ahsas bhee tu

Daulat se insaan keemti bistar khareed sakta hai, magar neend nahi khareed sakta… daulat se insaan roti khareed sakta hai, magar bhook nahi… daulat se insaan jism khareed sakta hai, magar sacha pyar nahi khareed sakta..!!

Anjaan ek saathi ka iss dil ko intejar hai, Pyasa hain ye aankhen aur dil bekarar hai, Unke saath mil jaye to har raah aasan ho jayegi, Shayad issi anokhey ehsaas ka naam Pyaar hai…

Apne Hothon Par Saja Kar Tujhe Main Tere Hi Geet Gana Chahta Hoon Jal Kar Bujh Jana Humari Kismat Sahi Bas Ek Baar Roshan Hona Chahta Hoon…

Dil Dhadkan Aur Ik Tu Sanam… Dil Mein Dhadkan Hai… Dhadkan Mein Hai Aahat Teri… Ik Yahi Arzoo Kafi Hai Dhanwant… Iskadar Zindgi Guzarti Hi Jayegi…

Ae Naye Saal Bata Tujh Mein Niya Kia Hai? Har Taraf Khalq Nay Kiun Shor Macha Rakha Hai Roshni Din Ki Wohi Taron Bhari Raat Wohi Aaj Hum Ko Nazar Aati Hai Har Baat Wohi Aasman Badla Hai Afsoos, Na Badli Hai Zameen Aik Hindsay Ka Badalna Koi Jiddat To Nahi Aglay Barson Ki Tarah Hongay Qareenay Teray Kisay Maloom Nahi Barah Mahinay Teray Junuary, February Or March Mein Paray Sardee Or April, May, June Mein Hogee Garmee Tera Mun Dehar Mein Kuch Khoye Ga Kuch Paye Ga Apni Miyad Basar Karkay Chala Jaye Ga Tu Naya Hai To Dikha Subah Nayi, Shaam Nayi Warna In Aankhon Nay Dekhay Hain Naye Saal Kayi Be-Sabab Daitay Hain Kiun Log Mubarakbadain Ghaliban Bhool Gaye Waqt Ki Karwi Yaadain Teri Aamad Say Ghati Umer, Jahan Mein Sub Ki Faiz Nay Likhi Hai Yeh Nazam Niralay Dhab Ki…

Also Read:

221+ Love Shayari in English- 2023 with Beautiful images| Romantic love shayari

Best love status in hindi, cute status for girls, love feeling status

100+ Love Shayari in English For Girlfriend, Boyfriend- 2023

Top 100+ Beautiful Shayari in English For Love, Share With Your Cute Lover

Best 100+ Romantic Love Shayari in English-Hindi For Boyfriend & Girlfriend

199+ True Love Shayari in English-Hindi, Shareable on Whatsapp, Instagram And Facebook

Neendein bhi meri ankhon se churati hai wohi So jaoon to khawabon mein satati hai wohi Har zakham ka khaliq bhi koi aur nahi hai Har zakham pe marham bhi lagati hai wohi Veeran bhi rakhti hai shab-o-roz wo meri Kamrey mein phool bhi sajati hai wohi Youn to mujhe wo yaad kiya karti hai aksar Jab chahe magar bhool bhi jati hai wohi Ye bhi theek hai bhool gaya hoon main usey Ye bhi ghalat hai ke mujhe yaad nahi aati wohi…

Yuhi kabi sapno se dil lagaya karo kisi k khwabo me aya jaya karo jab bi dil kare ki koi tume bi subah jagaye bus hume yaad karke pehle so to jaya karo…

Aankho me arman diya karate hai, Ham sabki Neend Chura liya karate hai, Ab jab jab aapki palke Zukengi, Samaj lena ham aapko yaad kiya karate hai. kaash wo nagme humein sunaye na hote, aaj unko sunkar ye aansu na aaye hote, agar is tarah bhul jaana hi tha, to itni gehrai se dil mein samaaye na hote.. Iss dil ko kisi ki aahat ki aas rehti hai, Nigaah kokisi soorat ki pyaas rehti hai, Tere bina zindagi mein kami toh nahi, Phir bhi tere bina zindagi udhaas rehti hai Unki tasveer ko seene se laga lete hain, Iss tarah judai ka gham mitaa lete hain. Kisi tarah zikar ho jaye unka, To hanss kar bheegi palkein jhuka lete hain. Tapan suraj se hoti hai, Tapana Zameen ko padta hai, Mohabbat Ankho se hoti hai, Tadpana dil ko padta hai. Bhula kar hame wo khush reh payenge sath mein nahi to mere jane k baad muskuraye ge Dua Hai Khuda se ki unhe kabhi dard na dena, Hum to seh gaye par wo toot jayenge! Tanhai jub muqaddar mein likhi hai, To kia shikayat apnon aur bayganon se, Hum mit gaye jin ki chahat main, Woh baaz nahin aatay hamain azmanay se. Lamha Lamha ye waqt gujar jayega Bas khuch hi ganto baad naya saal ajayega Isliye Abhi se naye saal ki badhai lelo Warna Bazi koi aur mar jayega. Mohabbat me maine kya khuch nahi luta diya, Mohabbat me maine kya khuch nahi luta diya, Unko pasand thi roshni, Aur maine khud ko hi jala diya. Hathon ki lakiron main kismat hoti hai, Milna aur bhul jana logo ki fitrat hoti hai, Bikharta to har koi hai dard me, Magar gum bhulana ensaan ki jarurat hoti hai..

Mujhe dard e ishq ka mazaa maloom hai, Dard e dil ki inteha maloom hai, Zindagi bhar muskurane ki dua naa dena, Mujhe pal bhar muskurane ki sazaa maloom hai.. Bicher jana tu os k liye maenay nahin rakhta, Jafaon ka apni hissab wo zabani nahin rakhta, Rota nahin ya osay rona nahin aata, Sungdil hai ya phir aankhon mein pani nahin rakhta…. Aashna hotey huay bhi aashna koi nahin Jantey hain sab mujhy pehchanta koi nahin Mukhtasir lafzon mein ye hai mizaj-e-dosti Rabta beshak hai sab se wasta koi nahin Mere aur Us ke chahne me ek farq tha, Mujhe wo aur Us ko sara zamana chahiye tha Nadaani mein hum kisse apna samajh baethe, Jo dikhaaya uss Bewafa ne Sapna, hum haqeeqat samajh baethe Dekho aaj chod diya hamein, Usne ek Gair ke liye, Jisse hum apna Humsafar samajh baethe zakhm itna gehra hain izhaar kya kare hum khud nishana ban gaye vaar kya kare so gaye hum magar khuli rahi aankhen is se zyada unka intzaar kya kare Bhool jana tha to phir apna banaya kiyon tha Jhooti ulfat ka yaqin dilaya kiyon tha Apni chahat ka yaqin dilaya kiyon tha hooti manzil ka neshan banaya kiyon tha Wo muskra k dard taal deta hy, Kisi kisi ko khuda ye kamal deta hy. Nazar utha k jis ko dekh le wo ek bar, Yaqeen karo usay mushkil main daal deta hy. Bus ik zara khayal is dosti ka tha, Warna bohat gila teri berukhi ka tha, Mujhko laga mai b teri zindgi men hoon, Per ye to koi dhoka meri saadgi ka tha…

Kal hamesha ki tarah us nay kaha yeh phone per mai bahut masroof hoon mujhko bahut say kaam hain is liye tum ao milnay, mai tu asakti nahin har riwayat tor kar is bar mainay kah diya tum jo ho masroof tu mai bhi bahut masroof hoon tum jo ho mashhoor tu mai bhi bahut maroof hoon tum agar gamgin ho mai bhi bahut ranjore hoon tum thakan say choor ho tu mai bhi thakan say choor hoon jaan-e-man hai wakt mera bhi bahut hi keemti kuch puranay doston nay milnay ana hai abhi mai bhi ab faarigh nahi mujh ko bhi lakho kaam hain warna kahnay ko tu sab lamhay tumharay naam hain meri ankhain bhi bahut bojhal hain sauna hain mujhay ratjagon kay baad ab neendon mai khona hai mujhay mai lahu apni anao ka baha sakta nahin tum nahin atin tu milnay asakta nahin us ko yeh kah kay WASI mai receiver rakh diya aur phir apni ana kay paon pay sar rakh diya

Teri yaad nay Teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai teray pyar main sab ko bhula rakha hai kuch acha nahin legta teri judai kay baad ek teri yaad ko sinay say laga rakha hai tera milna to abb aik khawab hi lagta hai najanay abb kyoon dil ko bhula rakha hai sab kuch lut gaya hamara teray pyar main teri yaad ko palkoon main chupa rakha hai muqadar say miltay hain bichar kay warna ajj bhi tera naam dil main saja rakha hai najanay koi nahin basta teray siva ankh main aik teri tasveer ko dil main chupa rakha hai ”

Bari mudat sey chaha hey tumhain Bari duaoon sey paya hai tumhain… Tumhain bhulaaney ka socho b kasey Kismat ki lakiron se churaya hai tumhain…!!

Lafzon Ke Fasaane Dhondhte Hain Hum Log Lamhon Mai Zamaane Dhondhte Hain Hum Log Tu Zehr Hi De Sharaab Keh Kar Saaqi Jeene Ke Bahaane Dhondhte Hain Hum Log…

Raabton, Rishton Mai Uljhan Thi Bohot Is Nizam-E-Shehr Mai Rehne Ki Himmat Hi Na Ki Lafz Yeh Logon Mai Raij Tha “Bohot” Is Liye Is Shehr Mai Hum Ne Mohabbat Hi Na Ki…

Har Taraf Aap Ki Yaad Par Laga Ke Pehra Jee Kara Kar Ke Betha Tha Ke Mat Yad Aye Nagahan dil kisi baat par aesa dukha, Mai Bohot Roya, Mujhe Aap Bohot Yad Aye…

Duniya To Hai Kaanton Ka Bichona Pyaare Tum Hum Se Kabhi Hona Na Judaa Pyaare Aao Mil Kar Dukh Ke Lamhe Kaaten Ik Jashn Hai Sath Sath Rona Pyaare…

Rota Hun To Ahbaab Bura Maante Hain Hansta Hun To Mujrim Mujhe Gardante Hain Har Haal Mai Aetiraaz Karne Waale Nadaan Mere Halaat Kahan Jaante Hain…

Lipta Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Surat Wo Shakhs Ke Jis Ko Mera Hona Bhi Nahi Hai Yeh Ishq-O-Mohabbat Ki Riwayat Bhi Ajab Hai Paana Bhi Nahi Hai, Usse Khona Bhi Nahi Hai..

Dekhte Hain Aaj Hum Us Raah Ki Weeraaniyan Yaaron Ke Sang Kaati Jahan Hum Ne Zindaganiyan Guzar Gaya Wo Daur, Bichar Gaye Sab Dost Sath Reh Gaen To Un Lamhon Ki Kahaniyaan..

Kisi Ki Dhun, Kisi Ke Gumaan Mai Rehte Hain Hum Ek Khuwab Ki Surat Jahan Mai Rehte Hain Ghamon Ki Dhoop Se Darte Nahi Hain Wo Amjad Kisi Nigaah Ke Jo Saiybaan Mai Rehte Hain..

Jab Rooh Kisi Bojh Se Thak Jaati Hai Ahsaas Ki Lo Aur Bhi Barh Jaati Hai Mai Barhta Hun Zindagi Ki Janib Lekin Zanjeer Si Paon Mai Chanak Jaati Hai..

Aksar jab hum aapko yaad karte hai apne rab se yahi fariyaad karte hai umar hamari bhi lag jaye aapko kyoki hum aap ko khud se zyada pyar karte hai…

Har nayi subha ka naya nazaara, thandi hawa leke ayi paigaam humaara. Jago ,utho, taiyar ho jao, khushiyo se bharaa rahe aaj ka din tumaara.

kaash aasoun ke saath yaadein beh jati kaash ye khamosi sab kuch keh jati kaash kismat tumne likhi hoti to shayad meri kismat me pyar ki kami na rah jaati

Dosti Hoti Nahi Bhul Jane Ke Liye, Dost Milte Nahi Bikhar Jane Ke Liye, Dosti Karke Khush Rahoge Itna, Ki Waqt Milega Nai Aansu Bahane Ke Liye. ..

Aansu aa jatay hain aankhon main, Per labon pay hansi lani parti hay, Yeh mohabbat bhi kia cheez hay yaroo, Jis sey kertay ho usi say chupani parti hay..

Tum Dil Se Yun Pukara Na Karo, Humko Yun Ishara Na Karo, Dur Hai Tumse Ye Majburi Hai Hamari, Tum Tanhaiyon Mein Yu Rulaya Na Karo…

Unke Hontho Pe Mera Naam Jab Aya Hoga.. Khudko Ruswayi Se Phir Kaise Bachaya Hoga.. Sounke Fasana Auro Se Merii Barbadi Ka.. Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aya Hoga?

Pal Pal Uska Saath Nibhaate Hum Aik Ishare Peh Duniya Chhor Jate Hum Samundar K Beech Me Pohanch Kr Fareb Kiya Usne Woh Kehta To Kinare Peh Hi Doob Jate Hum…

Yeh Dard Ke Tukre Hain, Ashaar Nahi Saaghar Hum Kaanch Ke Dhaage Mai Zakhmon Ko Pirotey Hain..

Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikharta Dekho Meri Ragon Mai Zehr Judaai Ka Utarta Dekho Kis Kis Adaa Se Tujhe Maanga Hai Khuda Se Aao Kabhi Mujhe Sajdon Mai Sisakta Dekho..

Bekhabar Tujhe Kiya Khabar, Teri Aankhon Mai Kesa Jamal Hai Tujhe Dekh Le Jo Bas Ik Nazar, Us Ki Aankhon Mai Phir Yeh Sawal Hai..

Mujh Se Bichar Kar, Mujh Ko Rula Kar Udaas Tha Meri Tarah Wo Khud Ko Jala Kar Udaas Tha Aese Ajeeb Dard Ke Pehre The Chaar Soo Ab Ke Wo Mere Shehr Mai Aa Kar Udaas Tha…

Dil Ke Liye Dard Bhi Roz Naya Chahiye Zindagi To Hi Bata Kaise Jiya Chahiye Maano Meri Kazmi, Tum Ho Bhaley Aadmi Phir Wohi Aawargi, Kuch To Haya Chahiye…

Woh aaj fir se miley ajnabi se bankar, Aur hume aaj fir se mohabbat ho gayi.

Hum toh mazaak mai bhi kisi ko dard dene se darte hain, Na jaane log kaise soch samajhkar dilon se khel jate hain.

Soch Kar Rakhna Hamari Saltanat Main Kadam, Hamari ”Mohabbat” Ki Qaid Mein Zamanat Nahi Hoti.

Yaadein aati hain yaadein jati hain, Kabhi kushiyan toh kabhi gham lati hai, Shikwa na karna kabhi kyuki aaj jo zindagi hai. Wahi to kal ki yaadein keh lati hain.

Agar Dard Hi Diya Hai Toh Itna De Mere Malik, Ki Main Auron Ke Liye Mohabbat Se Tauba Karne Ki Wajah Ban Jaun.

Jee nahi sakta to jeene ki tamanna chor de, Behte behte thehar jaye woh dariya chor de, Phool tha mai mujhko ek kanta bana kar rakh diya, Aur ab kante se kehte ho ke chubna chor de.

Bahut Nazdeek Hoke Bhi Wo Itna Door Hai Mujhse, Ishara Ho Nahi Sakta, Pukaara Ja Nahi Sakta.

Teri oor jati har hawa se kehte the hum, Jara tumse keh de ki tumhe bahut yaad karte hain hum.

Manzilein Bhi Uski Thi Rasta Bhi Uska Tha, Main Akela Tha Aur Qafila Bhi Uska Tha, Sath-Sath Chalne Ki Soch Bhi Uski Thi, Fir Rasta Badal Lene Ka Faisla Bhi Uska Tha, Aaj kyun akela hoon Dil sawal karta hai, Log to uske the Kya KHUDA bhi uska tha ?

Tamanna karte ho jin khushiyon ki, Dua hai woh khushiya aapke kadamo main hon, Khuda aapko woh sab hakikat main de, Jo kuch aapke sapnon mai hon.

Roj Roj Tufan Nahi Aate, Har Roj Haseen Lamhe Nahi Aate, Ji Lo Ye Zindagi Jab Hum Sath Hai, KyonKi Har Janam Mai Hamare Jaise Sath Nahi Aate.

Kisi ke dil mein basna bura to nahi, Kisi ko dil mein basana khata to nahi. Gunaah hai ye zamane ki nazar main to kya hua, Zamane wale bhi insaan hai khuda to nahi

Aisa nhi hai tujhe beizzat karne ke liye mere pass alfaz nhi hai, Bas tujhe beizzat karu aise mere jazbat nhi, Dil ne iss kadar chaha tha tujhe, Ki tera dil dhukha sakun aise mere halat nhi.

Kyon marte ho bewafa sanam ke liye? Marna hai to maro hamare watan ke liye, Aise to do gaj zameen bhi nahi milegi dafan ke liye, Desh ke liye maroge to hasinaye bhi Dupatta utar degi kafan ke liye…

Yeh khushboo yeh hawa tumhare naam kardi, Mausam ki har ik ada tumhare naam kardi, Mere dil ne kaha kuch khas tohfa tumko dun, Isliye dil se nikli har dua tumhare naam kardi.

Tum jab kahte ho kitna love hai hume? Dil karta hai abhi dil nikal ke dikhau, But kya karun wo nikal bhi nai sakti kyuki usme bhi tumhi ho.

Kis Pal Tum Ko Yaad Na Kiya Humne, Mere Rom Rom Se Puch, Maine Apne Aap Ko Kahan Nahi Jalaya Mom-Mom Se Puch, Tujhse Ruth Jane Ke Baad Khud Ko Kahan Nahi Jalaya Yeh Mujhse Puch.

Voh Sadak Ke Us Paar Thi Hum Sadak Ke Is Paar The Kuch Hum Aage Badhe, Kuch Voh Aage Badhi Hum Kuch Aur Aage Badhe, Voh Bhi Kuch Aur Aage Badhi Hum Kuch Aur Aage Badhe, Voh Bhi Kuch Aur Aage Badhi Ab Hum Sadak Ke Us Paar The, Aur Voh Sadak Ke Is Paar Thi. ..

Arz hai, Dil Na-ummid to nahi , Na-kaam hi to hai. Lambi hai gum ki Shyam , magar Shyam hi to hai.

Ab jab gira baadal, teri yaad ai, Jhoom ke barsa saawan, teri yaad ai, Bheega main, lekin phir bhi teri yaad ai, Kiyun na aey teri yaad? Tune jo chhatri ab tak nahi lautai… aacha bahut paak gaye hoge ………aab bas last………phir khatam Dil ka dard dil todne waley kya jaaney, Pyar ke rivajon ko zamana kya jaaney, Hoti hai kitni takleef ladki ko pataney main, Ye ghar pe baitha ladki ka baap kiya jaaney. Majnu ko Laila ka sms nahi aya, Majnu ne 2 din se khana nahi khaya, Majnu marne wala hai Laila ke pyar main, Aur Laila bethi hai sms free hone ke intazar main………

Hamare Profile Pe Aate Hain Woh…. Hamare Profile Pe Aate Hain Woh………… aur ek scrap bhi nahi chod jate hai woh…. Itna Bhi Nahi Maloom Zalim ko…. Recent visiters main Dikh Jaate Hain woh.

Zindagi mein gham mile toh mile, Pyaar unka kabhi kam na mile, Chahte hai hum unko jitna, Ki guna pyaar humein unka mile….

Kabhi zid main hi tera ho gaya kabhi dil ne tujhko gawa diya, Isi kashmakash me jiye sanam tune yaad rakha ya bhula diya…

Baarish Ki In Bondon Me Na Jane Kis K Aansoo Hain Wasi, Saddiyon Pehly Shayad Koi Saddiyon Beth K Roya Tha..

Udasiyon Aur Ghumo Se Wabasta Hai Ye Zindagi Meri Khuda Gawah Hai ke Phir Bhi Tujhe Main Yaad karta Hu…

Mat Cheen Apna Naam Mere Lab Se Is Tarah Is Be Naam Zindagi Mein Tera Naam Hi To Hai..

Uss k hath mein tootay hoye sheeshay ki tarah hon Faraz… Itna hi bhout hai k woo bhikarnay nahi deta..

Har kisi ky Naseeb main kahan likhi hain Chahtein, Kuch Log Duniya main atae hain Faqat Tanhaiyun k Liye…

Jab Tak Na Lagay Bewafai Ki Thokar Dost, Har Kisi Ko Apni Pasand Par Naaz Hota Hay…

Ab Yeh Aalam Hai K Tanhai Se Hum Tang Aa Kar Khud Hi Darwazay Ki Zanjeer Hila Detay Hain…!!

Mere Mola ne mujh ko Aansoo’on ki Saltanat de di Wasi me Jab bhi Hansta hun to aankhain bheeg jati hain…

Hai Phir Hamen Duaon kay Saharay Ki Zaroorat. Aey Kaash Hamen Aaj Koi Dil Say Dua Day…

shaam to roj aayegee, raat mei dhal jaayegee aaj udaasi hai to kal khushi mei dhal jaayegee

haathon mei haath hain, tere dil ko hatheli per le rakha hai tera pyar hai roshan dil mei, tujhe aankho mei sanjo rakha hai

dekh kar toot_te taare ko dil se ek aah uthi bichura hai koi jaise apne he aashiyaane se

jeete theh kabhi kisi ke mohabaat ke bina tumne jo mohabaat sikhlai to muskurana aa gaya nahi milne ki koi umeed es dil ko ki ab dil ko tere bina bhi rahna aa gaya

waada nibha diya humne, ek khat likh diya humne nahi koi aihsaan tujh per a sanam, dil ka pyar tum per loota diya humne

Dil main aur to kya rakha hai, Tera dard chupaa rakha hai,

Tujh ko paanay ki havass thi, so kise maloom tha, Apne hi aap ko kho bethen ge, paana kesa..

Khud bhi socha tha bohat, us ne bhi pucha tha bohat, Haal jab khud hi na samjhe to sunaana kesa,

Mujh se kehta tha ke saaye ki tarah saath hain hum, Yuun na milne ka nikaala hai bahaana kesa,

Aankh sharamsaar-e-tamanna hai, tu vada kar le, Chaal kehti hai ke ab laut ke aana kesa,

Ja ke phir laut jo aye woh zamanaa kesa, Teri aankhon ne yeh chairra hai fasaana kesa,

Yeh bhi hai ek kaar-e-numayan ‘hafiz’ ka, Kya saadaa-loh kaise zamaane main reh geya..

Bazar-e-zindagi se qazaa le gayi mujhe, Yeh daur mere daam lagaane main reh geya,

Sunta nahin hai muft jahan baat bhi koi, Main khaali haath aese zamaane main reh geya,

Woh waqt ka jahaz tha karta lihaaz kya, Main doston se haath milaane main reh geya,

Ab ehl-e-kaarvaaan pe lagaata hai tohmaten, Woh hamsafar jo heelay bahaane main reh geya,

Khud haadsa bhi maut pe us ki tha dam-ba-khud, Woh dusron ki jaan bachaane mein reh geya,

Sab mujh pe mohr -e-jurm lagaate chale gaye, Main sab ko apne zakham dikhaane main reh geya,

Taaseer ke liye jahan tehreef ki gayi, Ik jholl bas wahin pe fasaane main reh geya,

Bazzm-e-takallufaat sajaane main reh geya, Main zindagi ke naaz uthaane main reh geya,

Be-aman tha aap lekin mojzaa hai yeh ‘ryaz’, Haala-e-shafqat tha us ko aasra dete huye..

Jaane kis dehshat ka saaya us ko mohr-e-lab hua, Dar raha hai woh mujhe khul kar sadaa dete huye,

Woh humen jab tak nazar aata raha takte rahe, Geeli aankhon ukhrre lafzon se duaa dete huye,

Aap apne qatal main shamil tha main maqtuul-e-shauqq, Yeh khulaa mujh par talab ka khuun-bahaa dete huye,