aapke message ka intezar shayari
Yaad Aao Na Aaj Yaar Bahut
Paanv Me Dum Rahe Dyaar Bahut
Haath Chalte Hon, Rozgar Bahut
Dil Me Har Vaqt Ek Hungama
Shehar Tanha Hai Sheharyar Bahut
Dekh Li Meharbaniya Teri
Zindagi Ban Na Ghamgusar Bahut
Kya Koi Yaar Aane Wala Hai
Waqt Pucho Ho, Aaj Yaar Bahut
Raat Kehti Hai Badr So Jao
Ho Chuka Uska Intezar Bahut
Door Ho Jayun To Zara Intezar Karna
Apne Dil Ko Na Yun Bekarar Karna
Laut Kar Aayenge Hum Jahan Bhi Jayenge
Bas Humari Dosti Per Aitbar Karna
Koi Pukar Raha Tha Khuli Fazaon Se
Jise Nigah Mili Usko Intezar Mila
Vo Koi Raah Ka Pathar Ho Ya Hanseen Manzar
Jahan Se Raasta Thehra Vahin Mazaar Mila
Har Ek Saans Na Jaane Thi Justjoo Kiski
Har Ek Ghar Musafir Ko Beghar Mila
Ye Shehar Hai Ki Numaish Lagi Hui Hai Koi
Jo Aadami Bhi Mila Banke Ishtihar Mila
Qayamat Tak Tujhe Yaad Karenge
Teri Har Baat Per Aitbar Karenge
Tujhe SMS Karne Ko To Nahi Kahenge
Per Bhir Bhi Tere SMS Ka Intezar Karenge
Kaise Kati Raatein Bata Nahi Sakte
Guzra Hua Pal Ginwa Nahi Sakte
Pyar Apna Bhula Nahi Sakte
Bas Tera Hi Intezar Hai
Ab Aa Jao,
Is Dil Ko Aur Tadpa Nahi Sakte
Maine Khuda Ke Fariste Se Puchha,
“Keemat Kya Hai Is Duniya Mein Pyar Ki…”
Farista Hass Ke Bola,
“Aansu Bhari Aankhe Aur Ek Puri Umar Intezar Ki…”
Udas Ankhon Mein Sabar Dekha Hai
Pehli Bar Use Itna Khush Aur Beqarar Dekha Hai
Jise Khabar Na Hoti Thi Mere Aane Jane Ki
Uski Ankhon Mein Ab Intezar Dekha Hai
Sochte Hain Ke Tujhse Pyar Kar Lein
Apne Pyar Ka Charcha Beshumar Kar Lein
Bas Ek Bar Bana Loon Tere Dil Mein Jagah
Fir Umar Bhar Tere Aane Ka Intezar Kar Lein…
Koi Milta Hi Nahi Humse Humara Bankar
Wo Mile Bhi To Ek Kinara Bankar
Har Khwab Toot Ke Bikhra Kanch Ki Tarah
Bas Ek Intezar Hai Sath, Sahara Bankar…
Zindagi Ki Sham Dhal Rahi Hai Intezar Mein
Kabhi To Meri Sadaon Ko Sun Paoge Tum
Bekhudi Me Kar Baithe Hain Wada Maut Se
Us Se To Pehle Laut Aaoge Tum…
Raat Ka Andhera Subah Mein Badal Gaya
Tera Khwab Khyalon Me Badal Gaya
Ab To Yaad Kar Le Mere Humdard
Tujh Bin Har Pal Sadiyon Me Badal Gaya…
Dil Ye Humara Bekarar Ho Raha Hai
Lagta Hai Hume Aapse Pyar Ho Raha Hai
Aap Aa Jaiye Yahan Jaldi Se
Aapka Besabri Se Intezar Ho Raha Hai…
Jeene Ki Khwaish Me Har Roz Marte Hain
Wo Aaye Na Aaye Hum Intezaar Karte Hain
Jutha Hi Sahi Mere Yaar Ka Vaada
Hum Sach Maankar Aitbar Karte Hain…
Aaj Mausam Ko Kya Ho Gaya
Dost Mera Jaane Kahan Kho Gaya
Hum To Uske MSG Ka Intezaar Karte Reh Gaye
Par Lagta Hai Koi Aur Uske MSG Ka Haqdar Ho Gaya…
Zindgi Haseen Hai Zindgi Se Pyar Karo,
Hai Andhera To Kya,
Ujale Ka Intezar Karo,
Wo Pal Bhi Ayega Jiska Intzar Hai Apko,
Rab Par Bhrosa Or Waqt Par Aitbar Karo…
Tere Laut Aane Ka Intezar Karta hun,
Dekh Main Tujhse Kitna Pyar Karta hun,
Main Banata Hun Kagaz Pe Teri Tasveer,
Phir Unse Baatein Hazar Karta Hun,
Tere Dukh Bhi Khuloos-e-Niyat Se,
Apne Dukhon Me Shumar Karta Hu,
Sach Samajhta Hu Jhoot Bhi Tera,
Yun Main Tera Aitbar Karta hun,
Abhi Bhi Sochta hu To Aankhein Bheeg Jati hai,
Ae Jaan-e-Jaan Main Tum se Itna Pyar Karta Hun…
Unka vaada hai ki wo laut k aayenge,
isi ummid par hum jiye jayenge,
ye intejar bhi unki hi tarah pyara hai,
kar rhe the, kar rhe hain aur kiye jayenge…
Dil ki Naakam Hasratein lekar,
Hum uska intezar kartey hain,
Kash ke woh Laut aaye mujhse ye kehne,
Tum kon hote ho mujhse Bichadne wale,
Jaise guzra ho abhi tu mere darwaze se,
Ab hawa bhi tere aane ki aahat lagti hai,
Bichad ke tune mujhse kbhi ye bhi socha hai,
Adhoora chand bhi kitna udas lagta hai,
Wohi muntazir Nighaien, wohi Sham-e-Gham ka alam,
Hum azal se dekh rhe hain, Teri wapsi ki raahen…
Voh Ankhon ke Samne rehne lga hai aajkal
Kyun yaad aane lga hai pal pal
Kyun khoyi khoyi si ye Nazar hai
Pyaara Lagne lga yeh lamba safar
Waqt ka Na hosh hai Na darr kisi cheez ka
Rub-a-ru huyi, intezaar tha Jis tasveer ka…
Tere intezaar me ab to neend bhi gumshuda si ho gyi hai
Gar khwab me mulakat kar sko to main so jau ek lamha…
Ae neend zara dhire aa,
Lagta hai unke khwabo me ane ka waqt ho gaya hai,
Is pal ke intezar me, suraj dhal gaya hai,
Yahi waqt hai mulakat ka…
Kya btaye yaaro kitna haseen khwab aaya hai,
Shayad ruthe the wo humse, pehli bar kisiko manane me maza aya hai,
Baate to hoti hain magar khwabo me apka iskadar aana kuch naya hai,
Chahe faaslo ne kitni bhi zurrat ki ho darmiyo ki,
Aap kaise bhuloge ki hum apka saya hain…
Char dino ki chahat mein umar bhar ka intezar hai,
Mohabbat ek aisi majburi hai jisme sab lachar hain,
Juda nahi kar sakti ab maut bhi mujhe teri yaadon se,
Aur ek zindagi hai jo har pal tere liye beqarar hai…
Na jaane kis shakhs ka intezaar hme aaj bhi hai,
Sukoon to bahot hai pr dil bekarar aaj bhi hai,
Tumne hme nafraton k siva kuchh n diya lekin,
Hme tumhare nafraton se pyar aaj bhi hai…
Kabhi to hume bhi yaad karoge
Do pal mere liye bhi barbaad karoge
Intezaar rahega hume bhi Qayamat tak
hum bhi to dekhe tu
akhir kab tak hume pyaar na karoge…
Sooni Rahon Mein Soone Patte Pade The
Shayad Kisi Ke Kadmon Ka Intezaar Tha Unko,
Band Darwazon Kuch Ehsaas Dafan The
Shayad Kisi Sitamgar Ka Intezaar Tha Unko,
Woh Aaye Kuch Is Tarah Se Meri Kabr Pe ,
Jaise Mere Marne Ka Intezaar Tha Unko…
Mat Intezar Karvao Humse Itna Ki Waqt Ke Faislo Pe Tumhe Bhi Afsos Ho Jay,
Kya Pta Tum Baat Karne Aye…Aur Tab Tak Humari Ruh Hi Khamosh Ho Jay…
Unhein Hameshaa Main Chaahta Hi Rahunga,
Unka Naam Lekar Yeh Zindagi Gujaarta Hi Rahunga,
Khata Ho Duniya Ki Nazron Mein Toh Khata Hi Sahi,
Ye Khata Main Karta Hi Rahunga,
Aap Mujhe Mile Ya Na Mile Ah Mere Humsafar,
intezaar shayari in hindi 140 words
Zakhm Itna Gahra Hai Izhaar Kya Karein
Hum Khud Nishaana Ban Gaye Vaar Kya Karein
So Gaye Hum Magar Khuli Rahi Aankhen
Is Se Zyada Unka Intzaar Kya Kare…
Kya Dosti Hai Hamaari,
Jo Main Tumpe Marta Hun,
Har Samay Tere Aane Ka,
Intezaar Karta Hun,
Naa Koi Gilla Hai Tumse,
Isiliye Toh Main Har Roj,
Tumhare Liye Khuda Se Dua Karta Hun…
Nazrein Meri Thak Na Jaaye,
Bewafa Tera Intezar Karte Karte,
Yeh Jaan Yun Hi Nikal Na Jaaye,
Tum Se Isq Ka Izhaar Karte Karte,
Jahaan Waale Dekhte Hain Ghur Ghur Kar,
Ke Hamein Yeh Kya Beemari Ho Gayi Hai…
Khuda Jaane Ke Ab Kyon,
Hum Se Na Pyar Karti Ho,
Milakar Aankh Gairon Se,
Hamein Intezar Karwaati Ho,
Gulaam Banke Husn Ko ,
Yun Na Salaam Karo,
Kiya Hai Isq Toh Isq Ko,
Badnaam Na Karo…
Armaan Tha Tere Sath Zindagi Bitane Ka,
Sikwa Hai Khud Ke Khamosh Rah Jaane Ka,
Diwaanagi Is Se Badhkar Aur Kya Hogi,
Aaaj Bhi Intezar Hai Tere Aane Ka…
Intezar Rahta Hai Har Shyam Tera,
Raate Kat Ti Hain Le Le Ke Naam Tera,
Muddat Se Baithi Hun Yeh Aas Pale,
Shayad Ab Aa Jaye Koi Paigam Tera…
Mila Woh Bhi Nahi Karte,
Mila Hum Bhi Nahin Karte,
Gila Woh Bhi Nahi Karte,
Sikwa Hum Bhi Nahi Karte,
Kisi Mod Par Takrav Ho Jata Hai Aksar,
Ruka Woh Bhi Nahi Karte,
Intezar Hum Bhi Nahi Karte…
Barison Ka Intezaar Tha Dil Milne Ko Bekrar Tha,
Ek Taraf Judai Ek Taraf Unka Pyar Tha,
Kuchh Ankahi Ansuni Baatein Thi Zuban Par,
Dil Mein Kuchh Sarart Bhara Khumar Tha,
Sochha Tha Jab Milenge Khub Saari Baatein Hongi,
Par Baton Ka Kya Dil Toh Pyar Ka Beemar Tha,
Woh Pyar Deta To Shayad Gham Door Ho Jaate,
Dil Chah Kar Bhi Naa Mil Paaya Unse,
Darta Tha Fir Judaa Ho Jayega,
Pal Bhar Ka Jo Deedar Tha…
Tamam Raat Woh Jaagein Ya Soyein Saare Din,
Khabar Bhi Kya Unhe Kaise Kate Hamare Din,
Khuda Bachaye Kayamat Ke Hain Tumhare Din,
Yeh Pyari Pyari Jawani Yeh Pyare Pyare Din,
Mujhe Gujarti Hai Ek Ek Ghadi Intezaar Ki,
Jo Is Tarah Se Gujre To Kya Gujre Din,
Mere Dil Pe Hain Daage-Firak Roje-Firak,
Dikha Raha Hai Chamkate Huye Sitare Din…
Gul Aur Gulzar Ki Mehak Hai Chaaron Taraf,
Hum Toh Ek Kali Ke Khilne Ke Intezaar Mein Hain,
Bijli Aur Aatish Hain Roshan Chaaron Taraf,
Hum Tho Ek Jugnoo Ki Roshni Ke Intezaar Mein Hain,
Kaarvan Sajaye Chale Ja Rahe Hain Har Raah Par,
Hum Tho Ek Anjaan Rahi Ke Intezaar Mein Hain,
Kash Aaj To Aaaye Woh Humaari Chaukhat Pe,
Aankhein Bichaaye Sadiyon Se Unhi Ke Intezaar Mein Hain…
Achha Na Lage Yeh Jahan,
Achhi Na Lage Yeh Zindagi,
Humne Toh Chaha Tha Dil Se,
Fir Tum Ne Kyu Ki Dillagi,
Din Hamare Dhal Gaye,
Rate Bhi Saari Gujar Gayi,
Unka Intezaar Karte Karte,
Umar Saari Gujar Gayi…
Mukar Jaate Hain Woh Har Baar Vada Karke Bhi,
Rok Lete Hain Kadam Aane Ka Irada Kar Ke Bhi,
Ab Surat Na Dekhenge Karenge Pyar Kam Yaro,
Dekh Liya Anjam Pyar Jyada Karke Bhi,
Tune Pyar Ke Badle Mein Aksar Intezar Diya,
Ikrar Ke Badle Mein Hamesha Hamein Inkar Kiya,
Main Kaise Bhul Jaaun Tere Julmo Ki Kahani Ko,
Jo Maine Tere Jhute Vaado Pe Aitbaar Kiya…
Bahut Ho Chuka Intezaar Unka,
Ab Aur Zakham Sahe Jaate Nahi,
Kya Bayaan Karein Unke Sitam Ko,
Dard Unke Kahe Jate Nahi…
Magar Mere Pyar Ko Bhi Tu Pahchan Le,
Kitna Intezaar Kiya Hai Tere Ishq Mein,
Jara Yeh Dill Ki Betaabi Tu Jaan Le..
Kitne Sapne Dil Mein Sajaye Tere Liye,
Raahon Me Phool Bichhaye Tere Liye,
Aati Hai Koi Yaad Teri Chupke Se,
Har Dastak Pe Bah’r Aaye Tere Liye,
Jhooti Lagti Hai Har Kahaani Duniya Ki,
Mohabbat Sacchi Nazar Aaye Tere Liye,
Likhe Rakhe Hai Jo Khat Haath Ke,
Harf-Dar-Harf Dard Badhaye Tere Liye,
Intezar Ki Ab Toh Intahaa Ho Gai Hai,
Kitna Aankhon Ko Ruulaye Tere Liye,
Mitti Ka Khilona Ban Gaya Hai,
Bas Tuut Ke Judhna Aa Jaye Tere Liye…
Zindagi Se Sabhi Ko Mohabbat Hai,
Par Zindagi Kisi Ki Mohabbat Nahi Banti,
Tamanna Le Kar Jeete Hai Sab Log,
Magar Har Tamanna Taqdeer Nahi Banti…
2 line hindi shayari on intezaar
Zindagi Hasin Hai Zindagi Se Pyaar Karo,
Hai Rat To Subah Ka Intzar Karo,
Wo Pal Bhi Ayega Jiska Intzaar Hai Aap Ko,
Rab Pr Bhrosa Or Waqt Pe Aitbar Rakho…
Kaun Kehta Hai Ishq Me Bas Ikraar Hota Hai
Kaun Kehta Hai Ishq Me Bas Inkaar Hota Hai,
Tanhai Ko Tum Bebasi Ka Naam Na Do,
Kyunki Ishq Ka Doosra Naam Hi Intezaar Hota Hai…
Mere Marne Ke Baad Meri Kahani Likhna,
Kaise Barbaad Huwi Meri Jawani Likhna,
Aur Likhna Ki Mere Honth Khushi Ko Tarse,
Kaise Barsa Meri Aankhoon Se Paani Likhna,
Aur Likhna Ki Uska Intezaar To Bahut Tha,
Aakhri Saansoon Mein Woh Hichkiyoun Ki Rawaani Likhna,
Likhna Ke Marte Waqt Bhi Deta Tha Dua Tujhko,
Haath Bahar Tha Qafan Se Yehi Nishaani Likhna…
Is Nazar Ko Tera Intezaar Rehta Hai
Dil Tumse Milne Ko Beqaraar Hota Hai
Tum Hamse Milo Na Milo
Phir Bhi is Dil Main Teri Dosti Ka Pyar Rehta Hai…
Gahraai Ka Shok Kise Hai,
Hum To Kinaare Par Hi Rahte Hain,
Kisi Galti Ka Aham Nahi Mujhe,
Kisi Ke Sahaare Hi Rahte Hain,
Teri Qaaynaat Mein Thodi Jagah De Ah Khuda,
Intezaar, Tere Ishaare Par Hi Rahte Hai….
Jubaa Agar Ashkon Ki Samjho Toh,
Yeh Sab Kuchh Kah Jaate Hain Yaaro,
Dil Ke Bojh Ko Karte Hain Halka,
Khud Sabke Gham Sah Jaate Hain Yaaro…
Rooth Jaye Agar Koi Toh Mana Lo,
Tutne Na Do Ghar Apna Basa Lo,
Agar Dushman Bhi Mile Raah Mein Kabhi,
Toh Usko Bhi Yaar Gale Laga Lo…
Eh Mout Thahar Ja Tu Jara,
Yaar Ka Intezaar Hai Mujhko,
Aayega Woh Jarur Aaj Agar,
Us Se Sacha Pyar Hai Mujhko…
Eh Mout Jara Thahar Ja, Jara Sa Ruk Ja Tu,
Intezaar Hai Unka, Jinki Amanat Hai Zindagi,
Jara Unse Rukhsat Le Lene De, Fir Le Chalna,
Yeh Jaruri Hai, Unhi Ki Badolat Hai Zindagi…
intezaar shayari hindi for boyfriend
Hum jaise musafiron ka safar intezaar hai
Sabhi khidkiyon ke saamne lambi katar hai,
Vhamkili sabj aankhe bahut door ja chuki
Kin ghantiyon ka raston ko intezar hai,
Aawaj fadfada ke wahin dafan ho gayi
Seene mein shayad koi bijli ka taar hai,
Suraj kalam sar hai jamin ke sahid ka
Yeh dhoop uske jard badan ki bahar hai,
Aayi ninda woh udte sitare udhar mude
In baadliyon ke pichhe koi pahad hai…
Tere Libash Se Mohabbat Ki Hai,
Tere Ehsas Se Mohabbat Ki Hai,
Tu Mere Paas Nahi Fir Bhi,
Maine Teri Yaad Se Mohabbat Ki Hai,
Kabhi Tune Bhi Mujhe Yaad Kiya Hoga,
Maine Un Lamho Se Mohabbat Ki Hai,
Jinme Ho Sirf Teri Aur Meri Baatein,
Maine Un Alfaaz Se Mohabbat Ki Hai,
Jo Mahkate Ho Teri Mohabbat Se,
Maine Un Jazbat Se Mohabbat Ki Hai,
Tujhse Milna Toh Ab 1 Khwab Lagta Hai,
Isliye Ae Dost Maine Tere Intezaar Se Mohabbat Ki Hai…
Bin Aapke Kuchh Bhi Achha Nahin Lagta,
Ab Mera Vajood Bhi Sacha Nahin Lagta,
Sirf Aapke Deedar Ke Intazar Mein,
Kat Rahi Hai Zindagi,
Varna Kab Ki Mout Ke Aagosh Mein,
So Jati Yeh Zindagi,
Lout Aao Ke Aapke Bagair Ek Lamha Nahin Kat Ta,
Bin Aapke Kuchh Bhi Achha Nahin Lagta…
Aaye Kya Duniya Mein Hum,
Ek Nazaara Ho Gaya,
Khyale Yaar Mein Hai,
Khusi Ke Saath,
Sabbe Intezaar Leta Ja,
Aah Se Ho Saamna KyuKar,
Nigahe Yaar Ka,
Rokna Dushwar Hai,
Talvar Se Talvar Ka…
Is Bahane Se Bahaye,
Sre Mahfil Aansu,
Kah Diya Unse Ki,
Aankho Mein Khatak Hoti Hai,
Apna Sa Dusra,
Najar Aane Laga Mujhe,
Jalta Hu Main,
Woh Aaina Rukhsar Kyu Huye,