Friends social networking site par itne users ho gaye hai ki aaj 90% log social media use karte hai.aur sabhi ki Facebook, Twitter par profile hoti hai.kyu ki Social media apane dosto ke sath Jude rah ne ka aur ak dusere ke sath baat kar ne ka sabse achha hai. chahe apka dost duniya ke kanhi bhi kone me ho fir bhi apko lage ga ki mere aas pass me hi hai.dost Facebook id to har kisi ke pass hoti hai but Twitter par kam logo ki profile hoti hai.Thik hai friends chaliye aab jan te hai ki Twitter kya hai
aur Twitter par profile kyo bana ni chahiye.aur usske baad ham Twitter par step by step screensort images ke sath account bana na sikhte hai.
Twitter Kya hai ? aur Twitter par profile hame kyu bana ni chahiye?
Twitter facebook, google plus ki tarah hi ek online
social networking site hai. jise March 21, 2006 ko
Evan Williams, Noah Glass, Jack Dorsey or Biz
Stone ne launch kiya tha.Twitter ak micro Blogging tool hai. jis par user apne dosto
ke sath 140 word ka message send kar sakte hai aur
recieve kar sakte hai. Aur dusre other person ko
follow karke unke vichar padh sakte hai aur sanjha kar sakte hai.
Agar aap online business karte hai to marketing ke perspective se,aap Twitter ko apne blog ki marketing ke liye,Blog ki traffic badha ne ke liye, aur apne brand ki identity bana ne ke liye use kar sakte hai.
Twitter par account kaise banaye? step by step information
Step-1
Sabse pahale www.twitter.com site par Jaye.aur Yellow color ke sign up button pe click kare.ab jo sign up form khulega usme apko Apna Name, Email id or mobile number, aur password likhe.
• Apan pura name likhiye Jaise Mai ne AnilGavit likha hai.
• Apni Email id Yaa fir mobile number likhiye.
• apne Twitter account ke liye jo password rakh na chahte ho wo likhiye.
• Tailor Twitter based on my recent website
visits ke samne √ tick kare.
• puri Jankari thik bhar ne ke baad Sign Up par click kare.
step-2
Agar phone number se twitter account verified kar na chahte hai to mobile number add kare,agar Email se hi verified karna chahate ho to skip kare.me mobile number se verified karna chahta hu is liye mere mobile par message ayega usme 6 number ka code ayega usko likh lijiye.
step-3
ab jo page open hoga usme apko username enter kar ne ko kaha jayega.
• apna user name enter kare.
• next par click kare.
step-4
Let’s Go par click kare.
step-5
yaha par click karke upload photo select kare aur
apna profile photo select kare.
2. continue par click kare.
3. aap chahe to bad me bhi profile photo upload
kar sakte ho. iske liye skip this step par follow kare.
step-6
Profile photo upload kar ne ke baad continue par click karte hi ak newpage khulega usme apko apke interest ke bare me pucha Jayega. apko diye huve options me 2-4 select kar ke continue par click kare.
step-7
Ab aapko kuch famous logo ko follow karne
ko kaha jayega. Follow 40 & continue par click
kare. agar aap soch rahe ho ki mai jinko janta nahi
unko follow kyu karu to don’t worry aap bad me
inhe unfollow kar sakte ho.
Friends aab apka Twitter par account ban gaya hai,dosto Twitter ka full maza uthaye.aab thoda Ye bhi jaan lete hai ki Twitter ko kaise use kare.
Twitter ko kaise use kare ?
Ab jan na ye jaroori hai ki Twitter ko kaise use kiya jaye.
1. tweet:
2.RT(Rteweet):
Jab koi ak Twitter update ko Reshare karta hai.
3.@reply:
Jab aap kisi ko koi public message bhejana chahoge,aap @username ,Tweet ko likh ne ke liye use karege.Jaise ki @dailywebnow apka message.
4.DM(direct message):
Jab aap kisi ko private message bhejana chahte ho,tab aap DM use karte hai.dusrauser apko follow kiya hona chahiye Jise aap direct message bhej rahe ho.
5.# Hashtag :-
apne tweet message me kisi important keyword ke age hash sign ko use karna ,apki tweet ko search me better discovere hone me madad karega. Jaise ki Hello friends Me Anil hu aur mai #blogging ,aur #technology ke bare me blogging karta hu.
6. Twitter Handel:-
apka user name apka Twitter handle hota hai.
Dosto Ye meri jaankari aapko kaisi lagi jaroor hame comments kar ke batana.aur social media par apne dosto ke sath share karna na bhulyega.