Download Image

 Please wait while your url is generating... 3

PayPal Account kaise banate hai? Easy guide in hindi ?

By Anil Ganvit • Last Updated
PayPal Account kaise banate hai? Easy guide in hindi ?

agar aap online shopping Yaa fir Online kuch service’s use karte ho Ya fir internet se paise kaama raheho to aapke liye PayPal ki jaroorat padegi. Pahale ye jaan lete hai ki PayPal hai kya ?

PayPal kya hai ? 

PayPal ak online payment Bugatan  yaa fir payment received karne ka ak tarika hai.is ki madad se aap online computer ,tablets aur mobile se kisi ko bhi paise send kar sakte hai yaa Kisi se bhi paise Le (received) sakte hai.
agar aap online shopping karna chahate hai to PayPal ko use kar sakte hai aur kisi se paise lena aur kisi ko paise dena ho to bhi aap PayPal ka use kar sakte ho.

Kuch log online security se kafi chintit rahate hai, Uska man na hai ki credited card yaa Debit card ka number online dene se Aage problems Yaa Ghotala ho sakata hai, waise to aaj kal sabhi website online security ke baare me bahut dhyan dete hai.fir bhi aapko online credit card yaa debit card nahi dena to aap PayPal ka use kar sakte hai.

Kuch logo ke pass credit card Ya debit card nahi hote to uske liye online shopping karna muskel  ho jaata hai, but uske liye PayPal kaam aayega PayPal se bank ka khata jod kar PayPal ko use kar sakate hai.chaliye aab PayPal ka khata kholte hai.

PayPal account kaise banate hai?

Step-1(PayPal ki website open kare.)

PayPal ka account bana ne ke liye PayPal ki website par jaana hoga uske liye browser me type kare www.PayPal.com.

Step-2 (sign up par click kare)

PayPal ki website open ho jaane baad aapko top corner me sign up likha hai us par click kare. Sign up par click karte hi ak page open hoga usme  aapko apni country select karni hogi,PayPal ka account 2 type ka bana sakte hai Ak to individual aur dusara business usme individual account ko select kare jo sabhi logo ke liye free hota hai.aur Gat Start par click kar ke aage badhiye.

Step -3 (PayPal ke form me apni sahi details bhare)

Aapne jaise hi Gat started par click kiya aapke samne ak new form khul jayega usme aapko apni full details bharni hogi.aapka name pan card ke mutabit hi dalna hoga nahi to PayPal account sahi se bana nahi pawoge.sabhi information sahi bhari hai ki nahi wo check kar ke agree and create account ke button par click kare.

Step-4 (credit card / debit card ko PayPal se jode)

Is step me aapko bank ka credit card / debit card ko jodana hai,debit card ka number aur niche debit card ki expiry date likhe aur Card ka CVV number likh kar PayPal ke sath credit/debit card ko jode.

Note:- agar aapke pass credit/debit card nahi hai to aap  I”ll link my card later par click kar ke aage badhe.

Step-5 (PayPal account ko verify kare)

PayPal account bana ne ke liye aapne sabhi sahi steps ko follow kar ke PayPal ka form fill kiya hai is liye aapko Email account ko verify karna hoga uske liye aapko PayPal se ak Email aaya hoga us Email me check kare Email me Yes this is my Email address par click kare.

Step -6 (  bank account ko PayPal se link kaise kare)

PayPal account se Payment send Yaa received kar ne ke liye bank account ko PayPal se jodna padta hai us ke liye aapko PayPal ke profile me jaana hoga aur profile par click karte hi aapko drop-down menu khul jayega usme se Link or Edite bank account par click kare.ab ak form khulega usme bank account ki sahi details bhare aur continue par click kare.

Step -7 (Email Id chek kare)

aap ne PayPal se bank account ko link kar liya hai uska ak Email aayega us Email ko open kare aur usme congratulation ka message hoga ki aapne successfully bank account PayPal se jod liya hai. But abhi aape 2 step baki hai . PayPal ne hamare bank account 2 (two) choti choti payment Jama ki gayi hogi use netbanking Yaa fir bank ki sakha( Branch) me jaake us deposit ko pata kar sakte ho ki kitani PayPal vale ne Deposits ki hai aab 2(two) alag -alag deposits ko PayPal account ms log in kar ke confirm kar lijiye. Aapka bank account successfully linked ho jayega.

Step -8 ( PayPal account se paise transfer kare)

PayPal account se paise transfer kar ne ke liye aap jis aadami ko paise bhej rahe ho uske pass bhi PayPal ka account hona jaroori hai,agar uska PayPal ka account nahi hai to usko message kar ke PayPal  ka khata khulvaye nahi to aap paise transfer nahi kar sakte.PayPal se paise transfer kar ne ke liye PayPal me sign in kare aur PayPal me send payment ka tab hoga us par click kare,is par click karte hi aapko ak box aayega usme Aap jis person ko paise bhejana chahate ho uski PayPal id Likhe aur uske niche ke box me aap jitana paisa send karna chahte ho utana likh lijiye, ab I’m making personal payment par click kare. Is ke baad send payment ke button par click kare dijiye aapka payment kuch hi time send ho jayega.

Dosto waisa to ye article thoda long raha but i hope ki aap logo ko PayPal ke baare me jaankar khusi hogi aur PayPal ka account bhi bahut aasani se bana sakoge. Dosto agar PayPal account banate time koi problems aaye to hame comments kar ke puchh sakte ho. Thank you……..