Memory card ko use karte time kai baar problems ka samna karna padta hai
Is chhoti si Electronics device ka mayajal ke baare me mai aapko puri detail me bata raha hu.
Flesh memory card Yaa solid state flesh memory data storage jaise namo se jan ne vala memory card digital information ko storage karne vali ak Electronic device hoti hai.
Aaj kal memory card ka use Mobile, Tablet’s, Digital Camera, Mp3 player, video player aur video games jaise bahut sare Electonic device me use hota hai, Memory card me save kiye hue digital information (data) ko delete aur dubara use add kar sakte hai.
Memory card 3(teen) Tariko ke hote hai
SD,SDHC,aur SDXC
SD card :-
Is memory card ko paheli pedhi ka mana gaya hai.is memory card ki size (motai) 2.1 millimeter hoti hai, aur usme 2GB tak hi ham storage kar sakte hai.Is tarah ke memory card 3(teen) aakaro me hote hai. SD,MiniSD aur MicroSD.SD card jo aapne liye bane hue slot me fit ho jata hai.but microSD aur MiniSD ko adapter me fit kar ke slot me lagaya jata hai.
SD card ko Digital camera, Video camera jaise bade Electronic device me use kiya jata hai.aur MiniSD card aur MicroSD card ko Mobile ,Tablets jaise chhote device me use kiya jata hai.
SDHC
Second Generation ke Memory card 2006 me aaye.Usko SDHC kaha jata hai, SDHC ka matalb Secure Digital High Capacity hai.
Ye SDHC card aakaro me to SD card ke jaise hi hai but is ki storage karne ki capacity 4 GB se lekar 32GB tak hoti hai.
SDXC
Memory card ki 3rd Generation 2009 me aayi. Iska name SDXC hai.SDXC ka matalb Secure Digital extended Capacity hai. Is ki storage ki capacity 48 GB To 2 TB tak hoti hai.Traditional Tor par abhi keval 128 GB capacity tak hi aam logo ke liye uaplabhd hai.
Is ka keval aakar MicroSD jaisa hi hai. Waise inke UHS (Ultra High Speed bus) aur SDIO(secure Digital Input Output) bhi upalabhdh hai.aur ab UHS 1 aur UHS 3 Format vale memory card bhi aa gaye hai.Jo jyada tar Electronic sadha no me use hote hai.
Memory card ki speed ak Aham feature hai.Jisko is baato se Napa jata hai ki memory card me kitani speed se ak photo jaisi Digital Jankari ko save ki ja sakti hai Yaa Delete ki ja sakti hai. Kai baar aap ne dekha hoga ki camera apne photo ko save karne me bahut time lagata hai aur busy dikhata hai,aur kabhi kabhi video dekhte time video me baar baar roookavat aati hai.
Waise to memory card wala har device ak khas speed vale card ke liye bana hota hai. Us se kam speed vala memory card lagaya ho to wo bahetar result nahi de payega. Ham me se jyada log is baat par koi khas dhyan nahi dete hai,Jo device 16GB tak memory card ke liye bana ho aur us device me 8GB/16GB ka memory card dalva lete hai lekin card ki speed par dhyan nahi dete to hame lagata hai ki camera photo lene ke baad use store karne me jyada time leta hai Yaa fir camera se kisi video ko lete time thik se kaam nahi kar raha hai. To bahetar ye hoga ki memory card ki speed aapne device ke hisab se thik hai ki nahi Ye dekh le.Memory card Me class 2 sabse kam aur Class 10 ki sabse tej speed hoti hai,agar aab aapke camera ki capacity class 6 vale memory card ki hai to batter ye hoga ki aap class 6 vala memory card use karne me hi samjadari hai,is se jyada speed vale memory card koi mayane nahi rakhta,kyo ki camera jyada speed vale card ki capacity ka sadupayog kar hi nahi payega.
Memory card (sd card) ki speed ko kaise jane.
memory card par mb/second me speed likha hota hai, agar eaisa nahi hai to aap card ki speed ki pahechan card par bane sign/aakar se kar sakate hai. Memory card par adhure Gole(half circle) me likhe hone ka matalb hai class 2, Jis se kamse kam 2 mb/ second ki speed milegi.isi tarah 4,6,10 ka matalb class 4,class 6,aur class 10 hai jinse 4,6,aur 10 mb/second ki speed milegi.U jaise sign(aakar) ke andar 1 Ya 3 likha honeka matalb 10 aur 30 mb/ second mil sakti hai.