Mediafire kya hai?
MediaFire file sharing and cloud storing karne wali free service hai. User iski madad se apni photos, documents, music and videos ko ek jagah save rakh sakte hai. Jise kahi bhi exchange kiya ja sakta hai. Ye iPhone, Android,and Windows par available hai.Internet par eise bahut se services hai jo user’s ko free storage provide karte hai. Is tarah google ne bhi apne users ko free storage ki suvidha di hai.

MediaFire me file ko kaise Upload karte hai ?
Sabse pahale to mediaFire par free account bana hai, MediaFire ki website ko open kare aur sign up par click kar ke MediaFire me registration kar Lijiye.MediaFire par account bana ne ke baad sign in kare.
Step- 1 (Sign up /Sign In mediaFire)
MediaFire me Sign In karne ke baad Homepage par Jaye.Yanha aapko aapne Upload ki huvi sabhi file’s milegi agar aap new user hai to aapko Yanha camera, Documents, Music, Photo aur Video ke options milege.aapko file uplod karni hai is liye upar Toolbar me upload par click kare, aap computer Yaa web jaha se file upload karni hai wo select kar Lijiye.
Step-2 ( Files upload)
Ab aap Jis media file ko upload karna chahate ho us file ko Search kar ke select kare aur fir open par click kare, uske baad Begin upload par click kare.ab thodi hi der me aapki file mediaFire par uplod ho jayegi, uske baad Return To My Files Par click kare.
MediaFire par files ko upload kar ne baad aap apne dosto ko files share bhi kar sakte hai,agar Files ko share karna chahte ho to content folder ko copy kare aur ab is link ko apne dosto ko share kar sakte hai,aapka dost music, songs, media, videos and photos ko receive kar ke dekh sakte hai.