Download Image

 Please wait while your url is generating... 3

Google AdSense ka pin address verify kaise kare? Janiye esay step

By Anil Ganvit • Last Updated
Google AdSense ka pin address verify kaise kare? Janiye esay step

 

Google AdSense ke account me 10$ se jyada hamari earning ho jaati hai tab hame google AdSense team ki tarf se AdSense account verification karne ke liye letter bhejata hai, usme 4 digits ka pin number hota hai,AdSense ka account banate time ham ne jo address diya hota hai us address par google hamko 2-4 week me letter bhej deta hai.Jab tak ham Google AdSense account ka pin verified nahi karte tab tak hamara payment hold rahata hai.pin address verified ho jaane ke baad ham google AdSense account se paise bank me Transfer kar sakte hai.

AdSense par pin address verified kaise kare?

Google AdSense account me 10$ dollars se jyada earning ho jaati hai tab AdSense account ke home page me ak red color me notification aati hai usme is tarh likha hota hai. ”Your payments are currently on hold because you have not verified your address”

Note:-
1. Yaad rakhiye pin code 3(teen) baar galat dal ne se AdSense account suspended ho jayega.
2. AdSense pin code ko ham 3(teen) baar order kar sakte hai.uske baad India me Aadhar card aur Voters card se verify karva sakte hai.

 pin verify karne ke liye only 3(teen) step ko follow kare.
Step-1
Sabse pahale google AdSense me jaake sign in kare.

Step-2
AdSense ke home page par red color ki notification me Action likha huva button hai us par click kare.ab aap pin code enter kare aur submitte par click kare.

Step-3
Dusri tarh se bhi pin code dal kar address verify kare sakte hai.
Sign in adsense account >> Setting>> payment >> account information >> Enter pin code

Dosto aapko AdSense pin verify kar ne ke baare pata chal hi gaya hoga.muje umeed hai aap is article se sikh gaye hoge. AdSense pin address verify karne me agar koi problems aaye to ham se comments ke jariye puchh sakte hai.