Download Image

 Please wait while your url is generating... 3

Blog/website Ka Templet Kaise change kare? Jaaniye hindi me

By Anil Ganvit • Last Updated
Blog/website Ka Templet Kaise change kare? Jaaniye hindi me

 

Dosto, Hum badi ummid se Blog/website banate hai aur fir usme ache ache articles bhi post karte hai magar jab humare blog par visitors nahi aate to last
me ham nirash ho kar blogging chod dete hai. iski main wajah hoti hai blog ka look sahi na hona kyuki humare blog ka look jitna acha aur attractive hoga visitors ko wo utna hi acha lagega, aaj me aapko isi ke baare me bana ne jaa rahu taki aap apne blog/website ka templet badal kar acha blog bana sake.

Blog/Website ki templet kanha se download kare ? Aur templet kaisi honi chahiye?

Blogger ne aapko pahale se hi free templet de rakhi hai but us templet me bahut se features nahi hote aur wo templet bahut purane hote hai but aaj ke time me bahut sare website blogger ke free templet provide karti hai.Blogger ke free templets download karne ke liye BTemplets.com se download kare.


Blogger templet ko download kar ne se pahle Ye baate dhayan me rakhe.

•Mobile Friendly

Blogger templet Mobile Friendly honi chahiye.Yani templet mobile me achi dikhni chahiye aap to jaante hi hoge ki sabse jyada Hindi Blogger, Readers aur Hindi blogger ki traffic bhi Mobile se hi jyada aati hai.is liye templet mobile friendly hona chahiye.

•SEO Friendly 

Blogger templet SEO Yaani search Engine Optimization honi chahiye taki Search engine me acha blog search ho aake.

•Fast Loading

Templet ki speed fast honi chahiye taki visitors ko der tak wait karna na pade.

Ab upar diye gaye free blogger templets ki website se apne blog ke liye achi templet download kar lijiye.



Templet Download karne ke baad Apne blog par kaise upload kare?

Step-1 
Sabse pahale www.blogger.com par Sign in kare.
Step-2 
Blogger me Sign in karne ke baad Templet par click kare.
Step-3
Ab backup/ Restore par click kare .
Step-4
Backup/restore par click karte hi ak popup window khulegi.
Step-5
>>Templet ko upload karne se pahale apne purane templet ka backup le lijiye.taki new templet ko upload karne se Error aaye to aap purana templet fir se upload kar sako. Templet ka backup lene ke liye Download full templet par click kare.

>>Choose file par click kare aur apne blog ke liye jo new templet  xml file me download kiya hai wo select kare.

>> File choose kar ne baad Upload par click kare.upload par click karte hi kuch hi second me aapke blog ka templet change ho jayega.

Dosto is tarh aap Blog/website ka templet bahut aasani se badal sakte hai.