ऐतबार शायरी इन हिंदी | ऐतबार शायरी 2 लाइन

Kismat Pe Aitbaar Kisko Hai
Mil Jaye Pyaar To Inkaar Kisko Hai
Kuchh Majburiyan Hai Zindagi Ki
Warna Tanhaiee Se Pyaar Kisko Hai

Jeene Ki Khwaish Me Har Roz Marte Hain
Wo Aaye Na Aaye Hum Intezaar Karte Hain
Jutha Hi Sahi Mere Yaar Ka Vaada
Hum Sach Maankar Aitbar Karte Hain

Duniya Mein Kisi SE Kabhi Pyaar Mat Karna
Apne Aansu Is Tarah Bekar Mat Karna
Kaante To Phir Bhi Daman Tham Lete Hain
Phoolon Pe Is Tarah Kabhi Aitbaar Mat Karna

ऐतबार-शायरी

Maut Par Bhi Hai Yakeen, Un Par Bhi Aetbaar Hai
Dekhate Hai Pehle Kaun Aata Hai, Dono Ka Intizaar Hai

Main Ab Bhi Girte Howe Paniyo Ki Qaib Mai Hoon
Aik Aabshar Mere Char So Bhi Tak Hai
Koi Gumaan Mujhe Tum Se Door Kaise Kare
Ke Aitbar Mere Char So Abhi Tak Hai

Aashiqon Par Aitbaar Mat Karna
Dil Wale Bahot Kam Hote Hai
Pyar Karne Wale Tho Bahot Milte Hai
Par Pyar Nibhane Wale Bahot Kam Hote Hai

Yeh Such Hai Doston Kisi Se Pyaar Na Karna,
Kabhi Kisi Ka Aitbaar Na Karna,
Tham Ke Khanjar Apne Hi Hathon Mein,
Bedardi Se Apne Dil Par Vaar Na Karna

Bagair Jane Pehchane Iqrar Na Kijiye
Muskura Kar Dilo Ko Beqrar Na Kijiye
Phool Bhi Dey Jatay Hain Zakham Gehray
Har Phool Par Yun Aaitbar Na Kijiye

Har Dil Faryad Nahi Karta
Har Koi Kisi Ko Yaad Nahi Karta,
Bhool Jayein Aap Ko Ek Pal Kay Liye
Is Baat Par Dil Aitbar Nahi Karta

Us Ajnabi Ka Youn Na Intezaar Karo
Is Aashiq Dil Ka Na Aitbaar Karo
Roz Nikla Karen Kisi Ke Yaad Mein Aanso
Itna Kabhi Na Kisi Se Pyaar Karo

Haan Main Ne Aitbaar Ker Liya Hai
Zameen Se Asmaan Tak Ka Safer
Asaan Nahi Hai
Lakin Main Ne Ye Safer
Ikhtiyaar Kar Liya Hai
Khud Ko Azaab-e-Jaan Main
Giraftaar Ker Lia Hai
Haan…!!
Main Ne Mohabbat Pe Aitbaar Ker Liya Hai

Woh Keh Gaye Ki Mera Intezaar Mat Karna,
Main Kahu Bhi To Muj Pe Aitbaar Mat Karna,
Wo Kehte Hai Ke Mujhe Tumse Mohabaat Nahi,
Par Tum Kisi Aur Se Pyaar Mat Karna…!!!

Har Baat Jantey Hoye Bhi Dil Maanta Na Tha
Hum Jaaney Aitbaar Key Kis Marhaley Mein They

Yeh Jhuki Jhuki Aankhein
Yeh Ruka Ruka Lehja
Lab Pe Baar Baar Aa K
Toot’ta Hua Fiqra
Gard Me Ati Palkein
Dhoop Se Tapaa Chehra
Sar Jhukaaye Aaya Ha
Ik Umr Ka Bhoola ..
Dil Hazaar Kehta Ha
Hath Thaam Loon Uska
Choom Loon Yeh Peshaani
Lautne Na Doon Usko
Koi Dil Se Kehta Ha
Saare Harf Jhoote Hain
Aitbaar Mat Karna!
Aitbaar Mat Karna!

Hum Woh Hai Jo Pyar Main Loot Gaye
Sahil Ke Ithna Nazdeek Aakar Bhi Doob Gaye
Un Par Aitabaar Karne Ki Bhool Jo Kardi
Hamare Sare Sapne Toot Gaye

 इन्हे भी पढ़ें  :

Best 2 Lines shikayat shayari in Hindi | pyar me shikayat shayari

Best 100+ Romantic Love Shayari in English-Hindi For Boyfriend & Girlfriend

199+ True Love Shayari in English-Hindi, Shareable on Whatsapp, Instagram And Facebook

111+ Romantic Pyaar Bhari Hindi Shayari in English 

100+ Life Hindi shayari- 2023 | Emotional Shayari in Hindi on Life | Sad shayari on Life

Itni Aasani Se Na Karna Kisi Pe Aitbaar
Ye Ek Haseen Dhokha Hai Jise Log Kehte Hain Pyaar
Ye To Adaon Ka Jaadu Hai Jiske Hum Hote Hain Shikar
Ye Wo Kaid Hai Jisme Rihayi Bhi Nahi Milti Hai Yaar
Wo Laut Kar Fir Na Aayegi Is Dil Ko Mujhe Smajhana Hai
Jo Pal Saath Bitaye Humne Un Palon Ko Bhulana Hai
Main Kya Karu Jo Uski Yaad Is Dil Se Jaati Nahi
Kaise Samjhau Is Dil Ko Jo Is Shamma Ka Aaj Bhi Parwana Hai

Mausam Ka Aitabar Zayada Nahi Kiya
So Hum Ne Us Se Pyar Zayada Nahi Kiya
Kuch To Faraz Humne Palatnay Me Dair Ki
Or Kuch Us Ne B Intizar Zayada Nahi Kiya

Kisi Na Kisi Pe Kisi Ko Aetbaar Ho Jata Hai
Ajnabi Koi Shaks Yaar Ho Jata Hai
Khubiyon Se Nahin Hoti Mohabbat Sadaa
Khamiyon Se Bhi Aksar Pyar Ho Jata Hai

Wade Kisise Irade Kisi Se
Anhe Kise Se Nigahe Kisi Se
Ab Yaar Tumhra Bharosa Hi Kya
Jo Adhe Hamare Adhe Kisi Ke
Bhool Kar Be Na Sochna
Meri Chahtein Tere Sang Nahi
Tere Bin Odaas Hai Dil Mera
Meri Zindgi Ma Koi Rang Nahi

Mil Mil Ke Bicharrna Mujhe Accha Nahi Lagta
Per Tum Ko Bhi Paane Ka Raasta Nahi Milta
Tere Khaloos-E- Mohabbat Pe Atebaar Hai Itna
Siwa Tere Koi Rishta Sacha Nahi Lagta

Sab Kuch Jantay Hooay Bhi Dil Maanta Na Tha
Hum Janay Aitbar Kay Kis Merhalay Mein Thay

Sabi Log Tau Kabi Ache Nai Rehte
Jin Se Sach Sekha He Wo Bi Sache Nai Rehte
Kuin Asia Hota He Aitbar Ki Dehlez Par
Jo Buht Apne Hon Akhsar Apne Nai Rehte

Kaatil Par Aitbaar Kiya Hai Kabhi Kabhi
Yun Khud Ko Bekraar Kiya Hai Kabhi Kabhi
Apne Chiraag Auron Ke Ghar Mein Jala Diye
Yun Roshini Se Pyar Kiya Hai Kabhi Kabhi
Humse Junoon-E-Ishq Ka Aalam Na Poochiye
Apna Hi Intzaar Kiya Hai Kabhi Kabhi

Waade Pe Woh Mere Aitbaar Nahi Karte
Hum Zikare Mohabbat Ka Saare-Bazaar Nahi Karte
Darta Hai Dil Unki Ruswai Se
Aur Woh Soachte Hai Ki Hum Unse Pyaar Nahi Karte

Zindagi Mein Hamesha Naye Log Milenge
Kahin Zyada To Kahin Kam Milenge
Aitbaar Zara Soch Kar Karna
Mumkin Nahin Har Jagah Tumhe Hum Milenge.

Tere Waadey Par Jiye Hum To Yeh Jaan Jhuth Jaanan
Ke Khushi Se Mar Nah Jaate Aghar Aitbaar Hota

Hatho Ki Lakiro Ka Aibar Kar Lena,
Bharosa Ho To Had Ko Paar Kr Lena,
Khona Pana To Nasibo Ka Khel H,
Dil Ko Jo Apna Lge Bs Ussi Se Pyar Kr Lena

Aap Ka Aitbar Kaun Kare
Hashar Ka Intezar Kaun Kare
Baad Mai Phir Khizaa Ka Hai Khutka
Arzoo’e Bahaar Kaun Kare
Yak Baik Phair Li Nazar Tum Ne
Tum Per Ab Aitbaar Kaun Kare
Din Hai Tareek Jab Nigahoon Mai
Farq Leel-O-Nahar Kaun Kare

Kuch Main B Thak Gya Use Dhondte Hoye
Kuch Zindgi K Pas B Muhlat Nahi Rahi
Us Ki Her Ik Ada Se Jahlakne Laga Khloos
Jab Muj Ko Aitbaar Ki Aadat Nahi Rahi

Befawa Zamana Hai Aitbaar Mat Karna
Doston Par Bhi Apne Dil Nisar Mat Karna
Milna Doston Se Apne Begaraz Hokar Tum
Dosti Ke Daman Ko Tar-Tar Mat Karna
Dil Ki Baat Logon Ke Lab Par Aa Hi Jaati Hai
Tum Kisi Ko Bhi Apna Raazdaar Mat Karna
Aarzoo Mein Jine Ki Maut Ko Bhula Baitho
Zindagi Se Tum Hargiz Itna Pyar Mat Karna

Ghazab Kiya, Tere Vaade Pe Aitabaar Kiya
Tamaam Raat Qayaamat Ka Intezaar Kiya
Fasaana-E-Shab-E-Gham Un Ko Ek Kahaani Thi
Kuchh Aitabaar Kiya Aur Kuchh Na Aitabaar Kiya
Ye Dil Ko Taab Kahaan Hai Ke Ho Maalandesh
Unhon Ne Waada Kiya Ham Ne Aitabaar Kiya
Kuchh Aage Daavar-E-Mahashar Se Hai Ummeed Mujhe
Kuchh Aap Ne Mere Kahne Ka Aitabaar Kiya

Badi Mushkil Se Dil Maayoos Hota Hai Muhabbat Mein,
Kiya Hai Main Ne Ek Paimaan-Shikan Ka Aitbaar Aksar

Zindgi Gujar Jaye Par Vishwas Kam Na Ho, Yaad Hame Rakhna Chahe Paas Hum Na Ho. Qayamat Tak Chalta Rahe Yu Hi Ye Safar Dua Karo Rabse Kabhi Ye Rista Khatam Na Ho.

Duniya To Hai Kaanton Ka Bichona Pyaare Tum Hum Se Kabhi Hona Na Judaa Pyaare Aao Mil Kar Dukh Ke Lamhe Kaaten Ik Jashn Hai Sath Sath Rona Pyaare

Lafzon Ke Fasaane Dhondhte Hain Hum Log Lamhon Mai Zamaane Dhondhte Hain Hum Log Tu Zeher Hi De Sharaab Keh Kar Saaqi Jeene Ke Bahaane Dhondhte Hain Hum Log

Dil Ka Araman Paas Aake Dekho, Do Kadam Manzil Pe Chalke Dekho ! Hamse Haath Se Haath Milke Dekho, Dil Ke Taar Ke Sargam Ko Dekho ! Anjaani Raaho Me Chalake To Dekho, Manzil Ki Ghazal Ko Padhke To Dekho ! Uske Har Shabad Ko Samjh Ke To Dekho, Manzil Ke Safar Me Aap Chalake […]

Mana Ke Jo Di Aapne Nseeht Hame Wada Hai Ki Armano Ko Pura Ham Kare, Aankhari Saas Tak Unka Sahara Ham Bane, Unki Beti Hone Ka Farz Ham Bhi Ada Kare ! By : Maya Manzil

Aankho Me Aanshu Ki Kaonsi Ye Jhil Hain, Zindagi Ki Tanhai Ki Koansi Ye Manzil Hain ! Mera Ye Safar Meri Nazaro Se Aojhal Hain, Chalkati Dhoop Hi Meri Raah Ka Aachal Hain ! Andheri Raat Me Sitaron Se bhara Gagan Hain, Khilate Aur Mahkate Phoolon Ka Chaman Hain ! Zindagi Ka Daman Khushiyon Se

Pal Pal Ke Riste Ka Vada Hai Aapse, Apnapan Kuch Inta Jyada Hai Aap Se, Na Sochna Ki Bhool Gaye Hum Aapko, Zindagi Bhar Chahenge Yeh Vada Hai Aapse.

Aaj Bhi Kai Swal Hai Is Dil Mein, Pyar Ka Gam Bejuban Hai Is Dil Main, Kuch Keh Nahi Paata Ye Dil Magar, Ush Dil Ke Liye Aaj Bhi Pyar Hai Is Dil Main.